Thursday, November 11, 2010
Khwahish Nai Hai...!!! (Dedicated to my Friend)
Sath hone ki khwahish nai hai...!!!
Chahte rahenge tujhe hum sada,
Khud ke chahe jaane ki khwahish nai hai...!!!
Bichhadane se shayad barse ye khub,
Bheeg jaye nain tere, ye khwahish nai hai...!!!
Tere aankho se girate moteoo ko rakh lenge samet kar,
Pochhe tu aansu hamare, khwahish nai hai...!!!
Khush rahe tu sada, dua hai meri,
Apni khushi ki, khwahish nai hai...!!!
Dukh ho tujhe jis khushi se meri,
Aisi khushi ki khwahish nai hai...!!!
Milte rahen khwabo me sada to,
Saamne milane ki khwahish nai hai...!!!
Jo geet khushi na de paaye tujhe,
Aise geet gungunaane ki khwahish nai hai...!!!
Dil se Dil baate kar lete hai shayad,
Aur shabdo ki khwahish nai hai...!!!
Bichhad na jana mujhse kabi to,
Tumse milne ki khwahish nai hai...!!!
Haste raho tum yuhi sada,
Mere muskuraane ki khwahish nai hai...!!!
Har soch me bas jao meri yu fir,
Tumhe yaad karne ki khwahish nai hai...!!!
Salamat rahe ye Dosti hamari,
Fir to jeene ki khwahish nai hai...!!!
Misaal ban jaye Dosti hamari,
Khud misaal banane ki khwahish nai hai...!!!
Gar dede jagah tu apne Dil me,
Duniya me rahne ki khwahish nai hai...!!!
Tu muskuraata rahe gar sada,
Apne muskuraane ki khwahish nai hai...!!!
Teri Khushi se badke kuch bi nai hai,
Aur dua paane ki khwahish nai hai...!!!
Tu ban jaye Dost agar fir,
Aur Dost paane ki khwahish nai hai...!!!
By,
Jai Prakash Tiwari
Tuesday, August 24, 2010
Barish Ki Boonde
Par gir jaati hai toot ke apne dhaar se, sirf auro ki pyaas bujhane ko...!!!
Milti hai judaaii apno se, aur milti hai ruswaaii unhe,
Jo bichhad chale hai apno se, aur peeche pachtane ko…!!!
Kya bhujhegi pyaas iss dharti ki unn Barish ki bundo se,
Jo chal pade apne gharo se, bas mitti me mil jaane ko…!!!
Kya milega uphar unhe, Itani badi balidano se,
Kya rakhegi Dharti Dil me, Ya chhod degi aur ganda ho jaane ko…!!!
Boonde giri hazaro yaha, kya milega anjaam unhe,
Ganga se milke puje jaye, Ya chhode jayenge naale me milke sadd jaane ko…!!!
Kuch Jal jayenge iss suraj se, kuch honge paas yaha,
Kuch pahuchenge dharti pe, apne armano ko aag lagaane ko…!!!
Jalte, marte, Bachte gir padenge dharti pe,
Kuch ko milega pyaar yaha, Kuch ko jillat ki zindagi jeene ko…!!!
Chham Chham karti ye boonde, Suhana kar jati hai mausam,
Aaye hai yaha pyaar nibhane ya apmaan ka badla lene ko…!!!
Indra-Dhanush ke rango se, Pyaar ka karenge ye abhivaadan,
Apmaan kiya to, rah jayenge iss dharti ko bhar jaane ko…!!!
Khilake phool iss dharti pe, pyaar nibhana sikha gaye,
Ab rahenge iss duniya me, iss pyaar ko aur gahara kar jaane ko…!!!
Sardi ne inko bada sataya, gher ke rakha khaddo me,
Chhod diya hai hamne unhe, Sardi se kathor ho jaane ko…!!!
Iss duniya ki beharahmi se wo pachhtaate aaj bhi hai,
Suraj ki garmi me jal kar, taiyaar ho gaye ab waapas jaane ko…!!!
Dharti pe ye ghor andhera, wahi kahani duhraati hai,
Kaale badal fir aaye hai, Dharti ki Pyaas bhujhane ko…!!!
“Jai” sochata rahta aaj yahi hai, dekh chamak inn baadalo me,
Ye khushi hai unki sath me hone ki, ya ailaan kiya hai inn boondo ne fir balidaan ho jaane ko…!!!
By,
Jai
Friday, July 23, 2010
Mere Marne ke Baad…!!! (Poem)
Kuch baatein shuru hoti hai, Khatm hone ke baad,
Jaise izhaar-e-mohabbat hoti hai, aankhein nam hone ke baad…!!!
Shayad meri bhi kishmat badle, dua karna,
Ek pal ki khushi mil jaye, mere kuch pal kam hone ke baad…!!!
Wo bhi tadapte honge, aankhein nam karte honge,
Jeewan bhar ka gam, iss marhum ko dene ke baad…!!!
Tohfa kya du me unhe, Dil du ya jaan du,
Aksar yahi khayal aata hai, do ghoot jaam peene ke baad…!!!
Koi shikayat to nai, bas ek jawaab chahta hu,
Kyu dard paas aata hai, khushi ki ek jhalak milne ke baad…!!!
Ae khuda bas ek khwahish kar de puri, Mita de mohabbat iss duniya se,
Gar todna hi hai isse har baar jodne ke baad…!!!
Hum to apni tanhayiyo me bi, unka sath dekhte rahe aur wo,
Ek naya imtihaan lete rahe, ek imtihaan dene ke baad…!!!
Tohfa samjhke maut ko bhi, mai apne gale laga lu,
Gar ek phool hi gira de wo meri kafan pe, mere marne ke baad…!!!
By,
Jai Prakash Tiwari
Thursday, May 13, 2010
Ashq...(Poem)
Har dard ko chupana hai Ashq,
Har khushi ko batana hai Ashq…!!!
Mohabbat-e-aagaz me jo mile, dard hai,
Uss dard ko jatana hai Ashq…!!!
Jise naajo se seenchkar khilata hai mali,
Uss phool ka bas yunhi toot jaana hai Ashq…!!!
Har ek rishta Dil se juda hota hai,
Jiss rishte ko koi naam na mile, Uss rishte ko nibhana hai Ashq…!!!
Raah-e-safar me musafir hazaro milenge,
Milke bichade Dost ko bhulana hai Ashq…!!!
Muhabbat-e-andaaz ab kuch niraale ho gaye,
Wafa kiya to khushi, Zafa pana hai Ashq…!!!
Barso lagte hai ek rishte ko banane me,
Ek pal me unka toot jaana hai Ashq…!!!
Toote rishte bahut Dard de jaate hai,
Unka ek baar fir se jud jana hai Ashq…!!!
Dil me dabaye rakha gum to, khushi hazaro milengi,
Gum-e-Izhaar karna hai Ashq…!!!
Aaj sirf Ashq hi Ashq ki keemat samjh sakta hai,
Ashq ka Ashq se takarana hai Ashq…!!!
By,
Jai Prakash Tiwari
Friday, April 16, 2010
Mukhatib hote hai walima me har kisi se, Hasne ke bahane siskiya liya karte hai…!!!
Todne waale bhi akele me roya karte hai…!!!
Mukhatib hote hai walima me har kisi se,
Hasne ke bahane siskiya liya karte hai…!!!
Waqt be waqt, unka aana, hume satana, Kissa purana ho gaya…!!!
Ek ka DIL tod gaye aur, Jamana Diwana ho gaya…!!!
Yaad kar kar ke hume aajkal,
Wo raato me soya karte hai…!!!
Iss bejaan mausam me bhi,
Wo daaman bhigoya karte hai…!!!
Hamari tadapati ruho ka milna abhi bhi baki hai…!!!
Zamaane ki deewaro se, ek kasak dabi rah jaati hai…!!!
Armaano ko aag lagake,
Wo khwaab sanjoya karte hai…!!!
Chupake Chupake, Chori Chori, paani me,
Wo hamari Tashveer banaya karte hai…!!!
Tod gaye ho iss rishte ko, hamara Pyaar to leke jaoge...!!!
Sachcha hua agar Pyaar hamara, to peeche pachtaoge…!!!
Khud ke aanshuo ke sath,
Wo bedaag daaman ko dhoya karte hai…!!!
Khud ki parchaaii se lipat ke kyu aaj,
Wo akele me roya karte hai…!!!
By
Jai Prakash Tiwari
Monday, January 18, 2010
Rakhenge isse kuch younhi aabad karke...!!!
Chale gaye jo wo hume kuch youn barbaad karke,
Rakhenge isse kuch younhi aabad karke...!!!
Mile phool hi phool unki raaho me,
Maut se milenge bas yahi fariyaad karke…!!!
Dekh unki mohabbat mene bhi ishq karna jaana tha,
Fir kyun gaye wo chodkar, mera aur battar haalat karke…!!!
Rakhenge isse kuch younhi aabad karke...!!!
Sadiyo tak jo baat chale, Sadiyo tak jo yaad rahe,
Kar jayenge kuch aisa hi Mohabatt-e-agaaz karke…!!!
Rakhenge isse kuch younhi aabad karke...!!!
Wo kare wafa hai, hum kare jafa hai,
De gaye kafan mujhe, wo ishq-e-izhaar kaeke…!!!
Rakhenge isse kuch younhi aabad karke...!!!
Har ek aanshu ke badle mene apna lahoo bahaya,
Khud ko jalake par unko bachaya…!!!
Jao kahi bhi, mujhe laise ahoo-loohan karke…!!!
Rakhenge isse kuch bas younhi aabad karke...!!!
By,
Jai Prakash Tiwari
Sunday, January 17, 2010
Dhumil Na Pad Jaaye Tasveer
Sab honge saath fir bhi, shayad meri kami to hogi…!!!
Jisko paata hai koi lakho mannato ke baad,
Khone se uske aankho me thodi si nami to hogi…!!!
Isi ummed me jeevan guzar jayega, bas pyaar dunga aur pyaar paas aayega,
Ho jaate hai wo bekaraar bin hamare, shayad Dil me unke meri bhi dhumil chavi rahti to hogi…!!!
Bichadana to nai tha, par mukaddar ne hi dhoka diya,
Nikaal de bhale hume apne jindagi se wo shayad, naam mera hotho pe unke jami to hogi…!!!
Har waqt jo me khoya rahta hu unke khayalo me,
Unke bhi Dil me kabhi, pyaar ki koi kali khili to hogi…!!!
Kya hua jo na hai wo hamare sath, Jeena fir bhi assaan hoga,
Soch lenge bas yahi, shayad kabhi sapno me hi naam ki meri doli sazi to hogi…!!!
By,
Jai Prakash Tiwari
